Wednesday, December 17, 2014

HINDI ROMANTIC SHAYRI PART 8

(99)
Koi sham aati hai tumhari yaad lekar,
Koi sham jati hai tumari yaad dekar,
Mujhe tho us sham ka intezar hai,,,,,
jo aaye tume saath lekar.
(100)
Dil Ki Nazuk Dhadkano Ko
Mere Sanam Tumne Dhadakna Sikha Diya
Jab Se Mila Hai Tera Pyaar Dil Ko
Gum Me Bhi Muskurana Sikha Diya.
(101)
tere chehre ne kuch aisa gazab dhaya hai,
ki tere Husn se aaj chand bhi sharmaya
hai,
maang lete tujhe aaj uss khuda se,
par woh bhi aaj tera gulam nazar aaya hai!
(102)
Wo din din nahi, wo raat raat nahi,
wo pal pal nahi, jis pal teri Yaad nahi,
teri yadon se maut hame alag kar sake,
maut ki bhi ye aukat nahi.
(103)
Na gujarna eid k din kisi masjid k pas se,
kahin log chand samajh kar roja na tod de,
hokar khafa khuda tumse kahi…..
Chand jaise chehre banana na chhor de.
(104)
Tanha khud ko kabhi mat hone dena,
apno ko kabhi rone mat dena,
aap bahut khaas hain hamare liye…..
Is khayaal ko apne se kabhi juda hone mat
dena…..!
(105)
Hamari har khata pe naraz na hona,
apni pyari C muskurahat ko kabhi na
khona,
Sukun milata hain dekh kar aapaki
muskurahat,
hume maut bhi aaye to bhi mat rona.
(106)
Lab khamosh hain aankhon se baat hoti
hai,
Aise hi Mohabbat ki shuruwat hoti hai…..
Tere hi khayalon me khoye rehte hai hum,
Pata nahi kab din kab raat hoti hai….
(107)
Aankhon me rehne wale ko yaad nahi
karte,
Dil me rehne wale ki baat nahi karte,
Hamari to RUUH me bas gaye ho aap,
Tabhi to milne ki FARIYAD nahi karte…..!
(108)
Aankhon ki gehraayi ko samajh nahi paate,
Hoth he magar kuch hum keh nahi paate,
Apni Dil ki baat kis tarah kahe tumse,
Tum wahi ho jinke bina hum reh nahi
paate.
(109)
Mehakti baharo me tumhe Phuulon ki
tarah dekha hai,
Baraste Sawan me tumhe Buundo ki n
dekha hai,
saja rakhe hai jo khwab apni zindagi ki
raho me,
un raho me tumhe apni Dulhan bane
(110)
Mohabbat mujhe thi usi se..Sanam.
Yadaon me uski yeh Dil tadpta raha ..
Maut bhi meri Chahat ko rok na saki..
Kabr me bhi yeh Dil Dhadkta raha.
(111)
Tumhari is ada ka kya jawab du,
apne dost ko kya uphar du,
koi achcha sa phool hota to mali se
mangvata,
jo khud gulab hai usko kya gulab du…
(112)
Aapki Muskurahat ne hame behosh kar
diya,
Aapki Muskurahat ne hame behosh kar
diya,
Hum Hosh me aane hi waale the,
ki Aapne fir se muskura diya.
************************************
************************************
************************************
(113)
 

No comments:

Post a Comment