Wednesday, December 17, 2014

HINDI ROMANTIC SHAYRI PART 13

Ehsas Bahut Hoga Jab Chhor K Jaenge,
Roenge Bahut Magar Aansu Nahi Aaenge,
Jab Sath Na De Koi To Awaz Hume Dena
Aasman Per Bhi Honge To Laut K Aaenge.
(168)
kya mangu khuda se tumhe pane k baad.
kiska karu intzar zindgi me tere aane k
baad.
kyun pyar me jaan luta deta hai log…..
mujhe maloom hua tumhe apna banane k
baad.
(169)
Dil todna hamari aadat nahi,
Dil hum kisi ka dukhate nahi,
Bharosa rakhna meri wafaon pe…..
Dil me basa k hum kisi ko Bhulate nahi..
(170)
Dil ke rishtey bhi ajeeb hote hai..
duur reh kar bhi kareeb hote hai…
jo log aapko roz dekhte hai..
woh log kitne khushnaseeb hote hai..
(171)
Chehre pe haseen chha jati hai,
Aankhon main suroor aaa jata hai,
Jab tum mujhe apna kahte ho,
Apne pe ghuroor aa jata hai.
(172)
Zindagi jaise ek saza si ho gaye hai,
gam ke sagar me is kadar kho gayi hai,
tum aajao wapis yeh gujarish hai meri….
shayaad mujhe tumari aadat si hogayi hai.
(173)
Pani ka ek katra aankh se gira abhi abhi..
kya tum ne mujko yaad kiya abhi abhi..
tujh se mile zamana hua magar…
yun laga koi mujse mil k gaya abhi abhi..
(174)
Sham dhali, raat aayi Dil dhadka – Fir
Tumhari yaad aayi,
Aankho ne mehsus kiya us hawa ko – jo
tumhe chukar hamare pass aayi.
(175)
Yaad mein teri aanhe bharta hai koi,
har saans k saath tujhe yaad karta hai koi,
maut to sachai hai aani hai…..
lekin teri judaai mein har roz marta hai
koi….!
(176)
Tammana se nahi tanhai se darte hain,
pyaar se nahi ruswaai se darte hain,
milne ki to bohat chahat hai……..
par milne k baad judaai se darte hain
(177)
Ehsas Bahut Hoga Jab Chhor K Jaenge,
Roenge Bahut Magar Aansu Nahi Aaenge,
Jab Sath Na De Koi To Awaz Hume Dena
Aasman Per Bhi Honge To Laut K Aaenge.
(178)
kya mangu khuda se tumhe pane k baad.
kiska karu intzar zindgi me tere aane k
baad.
kyun pyar me jaan luta deta hai log…..
mujhe maloom hua tumhe apna banane k
baad.
************************************
************************************
************************************
(179)
Dil todna hamari aadat nahi,
Dil hum kisi ka dukhate nahi,
Bharosa rakhna meri wafaon pe…..
Dil me basa k hum kisi ko Bhulate nahi..
(180)
Band hothon se kuchh na kahkar,
ankhon se pyar jatate ho,
Jab bhi aate ho,
hamen hamse hi chura le jate ho.
(181)
Hame itna pyar mat karna ki,
duniya me mashhoor ho jaye
aur na hi itna bewafa banana…..ki
hum duniya ko chhodne k liye majboor ho
jaye.
(182)
Kuch Nasha Aapki Baat ka hai,
Kuch Nasha Dhimi Barsat ka hai,
Hame aap yuhi Sharabi mat Kahiye,
ye Dil par asar aapse pahali mulakat ka
hai…
(183)
Nigahen aapki pehchan hai hamari,
Muskarahat aapki shan hai hamari,
Karna hifazat tum apni…..
Kyounki sanse tumhaari jaan hain
hamari…
(184)
Suraj pass ho na ho, Roshni aaspas rehti
hai,
Chand paas ho na ho, Chandini aaspas
rehti hai,
Waise hi aap pas ho na ho,
aapki Yaadein hamesha paas rehti hai…..!
(185)
koi gila na koi shikwa rahe aapse
ye aarzoo hai ek silsila bana rahe aap se
bas ek baat ki umeed hai aapse
khafa na hona agar hum khafa rahain aap
se.
(186)
Mohabbat karo tu dhoka na dena,
Pyar ko ansuo ka tohfa na dena,
Dil se Roe koi aapki yaad mein…..
Aisa kisi ko moqa na dena.
(187)
Ankho me armaan diya karte hai hum.
Sabki neend chura liya karte hai hum.
Ab se jab jab aapki palke jhaphkengi.
Samajh lena tab tab aapko yaad kiya karte
hai hum.
(188)
Ga saku apka nagma wo saaz kaha se lau,
suna Saku Kuch aapko, wo andaz kaha se
Lau,
Yu to Chaand taro ki tarif karna aasan hai,,
Kar saku aapki tarif wo alfaz kaha se
lau…..!
(189)
Ae zindagi yu mujhse daga na kar,
Mai zinda rahu ye dua na kar….
Koi chhuta hai tujhe to hoti hai zalan……
Ae hawa tu bhi use chhuaa na kar….
(190)
Log kehte hain ki ishq itna mat karo,
ki hussan sar pe sawar ho jaaye…..!
hum kehte hai ki ishq itna karo,
ki patthar Dil ko bhi tumse pyaar ho jaye..!
(191)
Talaash Karo koi tumhe mil jayega,
Magar hamari tarah tumhe kaun chahega,
Zarur koi chahat ki nazar se tumhe
dekhega…..
Magar ankhein hamari kahan se layega…..!
(192)
Raat ko raat ka tohfa nahi dete,
dil ko jazbaat ka tohfa nahi dete,
hum tu tumhe chand bhe de dete…..
magar Chand ko Chand ka tohfa nahi
dete…..!
(193)
Tamana Khuch Bhi Nahin
Ek Tere Deedar K bina,
Zindagi Adhoori Hai Meri
Tere Pyar K bina.
(194)
Bada arman tha tere sang jeewan bitane
ka,
shikwa hai to bas tere khamosh reh jane
ka,
Deewangi is se bad kar kya hogi,
aaj bhi hume intizar hai tere aane ka.
(195)
Hum aap ko kabhi khone nahi denge,
juda hona chaha to bhi hone nahi denge,
Chandni raton me ayegi meri yaad…..
meri yaad k wo pal aap ko sone nahi
denge.
(196)
Hum ne her shaam chirago se saja rakhi
hai,
par shart hawaon se laga rakhi hai,
na jane kis gali se aa jae mera sanam…..
hum ne her gali phuulon se saja rakhi hai.
(197)
Hasrat hai sirf tumhe pane ki,
aur koi khawahish nahi is Dewane ki,
shikwa mujhe tumse nahi khuda se hai…..
kya zarurat thi tumhe itna khuubsurat
banane ki.
(198)
khuda ne jab tumhe banaya hoga,
hajaro saal dekha hoga, lakho saal nihara
hoga,
phir usne socha hoga tumhe swarg main
rakh lu…..
lekin use mera khayal aaya hoga…..!
(199)
Nazro se shuru hota hai Pyaar,
do Dilo me ek sath panapta hai Pyaar,
Jo Mumkin nahi hai karna is duniya me,
Aise namumkin kaam bhi kar dikhata hai
Pyaar.
(200)
Maut Pe Bhi Mujhe Yakeen Hai
Tum Per Bhi Aitabar Hai,
Dekhna Hai Pehle Kaun Aata Hai
Humein Dono Ka Intizar Hai.
(201)
Tum hansti ho mujhe hasane k liye,
Tum roti ho mujhe rulane k liye,
Tum ek bar ruuthkar to dekho…..
Mar bhi Jaunga tumhein manane k liye.
(202)
Yaad karte hain tumhein tanhayi mein,
Dil duuba hai gamo ki gehrayi mein,
humein mat dhundna dunia ki bheer
mein,
hum Milenge tumhein tumhari parchayi
mein.
(203)
************************************
************************************
************************************

 

No comments:

Post a Comment