Wednesday, December 17, 2014

HINDI ROMANTIC SHAYRI PART 4

Kisi k Dhadkte Dil k pichhe koi baat hote
hai,
Kisi k udas Dil k piche koi yaad hoti hai,
Aap ko pata ho ya na ho,
aap k khushi k liye kahin roz fariyad hoti
hai.
(41)
jaan hai hume jaan se pyari,
Jaan k liye chhod du dunia sari
Jaan k liye chhod du rasme sari,
ab tumse kya chupana,
tum hi to ho jaan hamari.
(42)
Tu kya jane kya hai tanhai,
is tute hue Dil se puch kya hai judai,
Bewfai ka ilzam na de zalim,
is waqt se puch kis waqt teri yaad nahi aai.
(43)
Yuhin hi sapno se Dil ko lagaya karo,
Kisi k khwaabon me aya jaya karo,
Jab bhi Dil kahe ki koi tumhe bhi manaye,
Bas hame yaad kar k ruth jaya karo.
(44)
Maine khuda se ek dua mangi,
dua me apni maut mangi,
khuda ne kaha maut to tujhe de dun,
par uska kya jisne har dua me teri jindgi
mangi.
(45)
Karte nahi izhar
phir kyun karte ho tum pyar?
nazron se bate bahut hui
ab lab se karo ikrar…
(46)
Suna hai waqt ke saath halat badal jate
hain
Insan badal jate hain, jazbat badal jate
hain
Par tum na badloge, ye aitbar karta hoon
Main tumse pyaar karta hoon
Main tumse pyaar karta hoon
(47)
Jaam pe jaam peene se kya fayeda,
Raat guzri to utar jayegi,
Kisi ki aankhon se peeyo khuda ki kasam,
Umr saari nashe mein guzar jayegi.
(48)
Woh Zindagi hi kya jisme Mohabbat nahi,
Woh Mohabbat hi kya jisme Yaadein nahi,
Woh Yaadein kya jisme Tum nahi,
Aur woh Tum hi kya jiske saath Hum nahi.
(49)
Humne socha tha ki shayad, hum hi chahte
hai tumko,
par tumhe chahne wala to kafila nikla,
Dil ne kaha shikayat kar khuda se,
par khuda bhi tera chahne wala nikla.
(50)
Jab jab aapse milne ki umeed nazar aayi…
mere paav mein zanjir nazar aayi..
gir pade aansu aankh se…
aur har ek aansu mein aapki taswir nazar
aayi.
(51)
Dil ke rishtey bhi ajeeb hote hai..
duur reh kar bhi kareeb hote hai…
jo log aapko roz dekhte hai..
woh log kitne khushnaseeb hote hai..
(52)
Chehre pe haseen chha jati hai,
Aankhon main suroor aaa jata hai,
Jab tum mujhe apna kahte ho,
Apne pe ghuroor aa jata hai.
(53)
Zindagi jaise ek saza si ho gaye hai,
gam ke sagar me is kadar kho gayi hai,
tum aajao wapis yeh gujarish hai meri….
shayaad mujhe tumari aadat si hogayi hai.
(54)
Pani ka ek katra aankh se gira abhi abhi..
kya tum ne mujko yaad kiya abhi abhi..
tujh se mile zamana hua magar…
yun laga koi mujse mil k gaya abhi abhi..
(55)
************************************
************************************
************************************

 

No comments:

Post a Comment